Featured Post

The Winter Rain.

“The faded colors of life, the dim beams of light, strange is to see, the drenched world with liquid eyes” It was a winter rain… She...

Wednesday, June 27, 2012

Kaise lagau mein Kajar..

Sajan bireh mein, nain asuuan ka sagar..
Sakhi, kaise lagau mein kajar...

Maiya bole, sringar kari Lai..
Tohe dekhan pardesi ayi h..
Bitiya mori ko... arre koi taiyaar kari h..
Kaise bole maiya ko..
pardeshi naa.. Mohe priyatam chahi h..

Reh mein jiski, nain jhar jhar baras rhe,
Bann k kaare baadal...
Sakhi kaise lagau mein kajar...

Babula shor machai h..
"Arre gudiya ko jaldi Lai h"
Aur Gum- khusi mein bole...
Bha jayi h babu ko bitiya meri,
Phir pardesh ko jayi h..

Sakhi.. sjan na aaye...
Ab rokein khud ko, toh kaise rokein..
Kadam kadam par chalke ab toh,
Naino k do gaagar..
Bol.. Kaise lagau mein kajar...

"Mann bhari...
Kuch bujhe naa..
Naata judta aur koi te..
Par laagi tohse chote naa...
k.. Bhar bhar aansu se,
Bhaye nain.. Jaise sagar
Sajan.. Kaise lagau mein kajar...."

No comments:

Post a Comment