Featured Post

The Winter Rain.

“The faded colors of life, the dim beams of light, strange is to see, the drenched world with liquid eyes” It was a winter rain… She...

Wednesday, June 27, 2012

A Conversation.

Hum tum kya hain?
dost? Forever waale?
par pata h...
bichadna kismat h apni...
Dost toh bichad jaate hain..
Yeh din toh jhonke se hain..
guzarna fitrat h inki.. Yeh guzar jaate hain.."

"Haan.. par kuch baatien h,
jo kaha bhuli jaati hain...
Kuch baaton ki yaadein aksar,
raat ki train pakad kar..
Yaadon k seher se, khwabon k seher aa jaati hain..
Kuch chehre hain,
Jo kahan bhule jaate hain..
Aakhon k theatre mein, palkon k parde girte hi..
Khayal unhi ki picture chalaate hain..

yeh dost hote hain.. Jo forever k liye humse jud jaate hain."


"par chehre dhudhlaane lagte hain..
Awaaz bhul jaati h..
Nayi baaton ki nayi yaadon ki bheed mein..
Puraani yaadien kho jaati hain..
Train unki aksar miss ho jaati h."

"arre buddhu..
Par dil ka woh kone waala hissa..
Phir bhi unka rehta h..
Woh aa hi jaate h muskaan leke
Jab mann akela hota h..
Aur phir.. Dhundh hat jaati h cehron se,
Ek aisa ujaala hota h..."

"toh... Hum tum kya h?
Dost? Forever waale?
Aur agar.. Mujhe tumse pyaar ho gya toh?"

"toh matlab?? Abhi nhi h...??"

giggles.

After a while when one was sitting alone...

"hai."
:)

No comments:

Post a Comment