Featured Post

The Winter Rain.

“The faded colors of life, the dim beams of light, strange is to see, the drenched world with liquid eyes” It was a winter rain… She...

Monday, July 16, 2012

Par tum rokti nhi.

Tumhari khilti-khilti zindagi mein,
ek murjhaye khayal sa;
mein aana toh nhi chahta,
par tum rokti nhi.

leher sagar ki,
jab ek dhakka sa tum ko deti h;
sambhal jaane se pehle sochti ho mujhe.
kya karun?
tumhare zehen mein, khamosh tufaan sa;
mein aana toh nhi chahta,
par tum - rokti nhi.

befazul ki baat par,
jab dost koi- zikr mera kar jaata h;
tab tum hi toh sochti ho mujhe.
hanste tumhare cehre par,
gum k izhaar sa;
mein aana toh nhi chahta,
par tum rokti nhi.

fursat mein jab, waqt tum barbad karti ho,
tasveerein palatti ho- muskurati ho;
chehra mera phir aata h-
halki si hansi, phir gehri saans bharti ho.
nayi si duniya mein tumhari, bhichade jahan sa;
mein aana toh nhi chahta,
par tum rokti nhi.

tumhare khush haal dil mein-
malaal sa..
mein aana toh nhi chahta,
par tum rokti nhi.

No comments:

Post a Comment