Yeh kahani ek raat ki h,
jab palkon k kaale asmaan tale
ek khwab adhura baitha tha...
kal toh ithla rha tha,
keh rha tha, hakkikat milne aayegi.
Apni shiddat par itraata tha woh,
jo aaj akela baitha tha...
Kuch sehma sa tha,
aas k tukde, jo bhikhre the zameen par,
ghur rha tha unko...
aur haule haule khud tukdon mein tut-ta ja rha tha
ek tukda hua ki hakkikat aati toh yeh hota
dusra tukda- ki hakkikat aati toh woh hota..
toh tutaa woh, ek aasihq jaise;
woh hota h naa,
k woh aati toh ye hota
k woh aati k woh hota.
bhikra woh..
phir barsa kuch paani jaisa,
uss khwabon k duniya k andar bhi,
aur bahar bhi.
beh gaya woh khwab aur purze uske,
susaan ho gayi khwabon ki duniya..
tabse koi bhi khwab ghabrata h,
mere khwabon ki duniya mein aane se
shayad... usne bhi suni h kahani uss raat ki
jab palkon k kaale asmaan tale,
ek khwab- adhura, akela baitha tha.
jab palkon k kaale asmaan tale
ek khwab adhura baitha tha...
kal toh ithla rha tha,
keh rha tha, hakkikat milne aayegi.
Apni shiddat par itraata tha woh,
jo aaj akela baitha tha...
Kuch sehma sa tha,
aas k tukde, jo bhikhre the zameen par,
ghur rha tha unko...
aur haule haule khud tukdon mein tut-ta ja rha tha
ek tukda hua ki hakkikat aati toh yeh hota
dusra tukda- ki hakkikat aati toh woh hota..
toh tutaa woh, ek aasihq jaise;
woh hota h naa,
k woh aati toh ye hota
k woh aati k woh hota.
bhikra woh..
phir barsa kuch paani jaisa,
uss khwabon k duniya k andar bhi,
aur bahar bhi.
beh gaya woh khwab aur purze uske,
susaan ho gayi khwabon ki duniya..
tabse koi bhi khwab ghabrata h,
mere khwabon ki duniya mein aane se
shayad... usne bhi suni h kahani uss raat ki
jab palkon k kaale asmaan tale,
ek khwab- adhura, akela baitha tha.
No comments:
Post a Comment