Featured Post

The Winter Rain.

“The faded colors of life, the dim beams of light, strange is to see, the drenched world with liquid eyes” It was a winter rain… She...

Sunday, April 24, 2011

Fark sa padta h...



Jab koi baat bekaar ki,
uss par bankar aa jaati h.
jab befazul ki baaton par,
aise woh ro jaati h.
jab chehra uska kisi wajah se,
murjhaya sa lagta h.
fark sa padta h...

ussmein mujhmein kisi baat par,
anban jab ho jaati h.
kisi baat par meri uski,
baatein jab ruk jaati hain.
tab usko khone ka darr, mann mein,
halka halka sa badhta h.
fark sa padta h...

Dil ka har kuch keh dena usse,
kitna toh asaan sa tha.
uska ho jaane ka dil mein,
koi jab armaan na tha..
ab har lafz zubaan pe aakar k,
khamoshi mein badalta h.
woh kya sochegi iss baat se,
fark sa padta h...

Mujhko toh malum nhi...
par dil bole ki h sahi,
jyaada sochu, toh galat lage.
ab chain nhi mujhko kahin.
kya karun? ki saath bhi uska,
ab toh apne saaye jaisa lagta h.
jo ho naa woh saath mere toh,
fark sa padta h...

:)

No comments:

Post a Comment